Description
Mana Lalach karna galat hai, jabki humare desh ki ek teesri abadi bhooki pyaas mein soti hai, or humare paas sab kuch hone ke bawajood bhi humein aur chahiye. Har maa-baap ka sapna hota hai apne bachon ke saath duniya ghoomne ka, unke saath samay bitane ka aur unka taraki karte hue dekhna. Shayad yehi unki asli khushi hai. Lekin Tushar ke liye, yeh sab sirf duniyavi moh maya tha. Usko in bandhanon se mukt hona tha, lekin usme aur ulajh ka rhe gaya. Kyun usne apne sabse pyaare logo ko mara? Kya humein apni khudh ki sunni chahiye ya kisi aur baba ki? Episode suniye aur dekhiye ki Tushar ne apni chahat ko paane ke liye kitna khoon kiya.