“Bachpan mai, meri dadi-ma roz raat humain hindi mai kahaniya sunaya karti thi.. phir hum bade hone lage aur kahaniya sunne ka waqt nahi raha mere paas.. angrezi novels, angrezi gaane mai roochi bad gayi aur dheere dheere hindi se naata jaise choot gaya.
Aaj kuch 15 saal baad, Piyush ji ki inn hindi kahaniyon ko sun kar, na sirf mujhe mera bachpan yaad aata hai, bal ke isse kahthin waqt main 15 minute ka sukun bhi milata.. jaha news, tv, radio.. har jagah hum corona ki khabaron se mayoos hote hai.. inn kahaniyon ke jariye, manoranjan ke saath-saath mujhe shanti bhi milti hai!
Piyushi ji, maine kafi saloon ke baad, hindi mai apne mann ki baat likhi hai - aur iska pura shray aapko jata hai.. Asha hai ki aap har shukrwaar humare liye nayi kahaniya layenge, thodi romanchak, thodi chulibuli, thodi majedaar!”
Divya Sethia via Apple Podcasts ·
India ·
07/05/20