Allama Iqbal. Sitaron se aage jahaan aur bhi hain.
Description
21st April is the Death anniversary of Sir Dr Allama Muhammad Iqbal. He is Legendary Urdu poet and not only poet He is the excellent philosopher also. His poetry amongst the greatest Urdu poetry of 20th century.
poetry\ Ghazal :- Sitaron se aage jahaan aur bhi hain.
(Baal e jibraeel)
Poet. :- Sir Dr Allama Muhammad Iqbal
Recited by :- Faiz Ahmed. sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñ
yahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī haiñ
qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū par
chaman aur bhī āshiyāñ aur bhī haiñ
agar kho gayā ik nasheman to kyā ġham
maqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī haiñ
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
isī roz o shab meñ ulajh kar na rah jā
ki tere zamān o makāñ aur bhī haiñ
ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñ
yahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں
قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں
اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں
تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں
گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں. Search my YouTube channel Alfaz e Qalb on YouTube.