Description
Poet: Mohammed Gaziuddin Siddiqui "Kamaal"
Hyderabad, India
Darbaar-e-Mustufaa ke, Kyaa hai.N ghulaam Likhnaa
Har Taajwar se oonchaa, inka maqaam Likhnaa
Baad-Az Salaam meraa, Jo hai payaam likhnaa
Maaruza likhnay Waalo, Haal-e-ghulaam likhna
Aamaal-naama meraa, likhnaa toh ai farishto
Sarkaar-e-do Jahaa.N kaa, Adnaa ghulaam likhnaa
Jhukte hain sar wahaa.N par, Jhuktay hain dil yahaa.N par
Rowzay ko bhi nabi kay Baitul-haraam likhnaa
Quraan-e-paak shahid hai, inki azmato.N kaa
Tauseef HuQ ne kii hai, phir kyaa muqaaam Likhnaa
Har ek hai muaddab, Taibaa mein baat kyaa hai
Is shahar ka hai aisaa, kyon ehtamaam likhna
Aaqa-e-do-Jahaa.N hai Ghurbat-pasand Aaqa
Moonis Ghareeb ke hain, Khair-ul-anaam Likhnaa
Quraan jab hai goya ausaaf-e-mustufaa mei.N
Asaa.N nahin hai, naat-e-khairul-anaam Likhnaa
Duniya se jaanay walaa toh hai Kamaal Lekin
Deedaar-e-Mustufa par hai, Ekhtataam Likhnaa