Description
Poet: Ameer Minai
KHalaq ke servar, shaafa-e-mahshar, sallaaho alaihe-vasallam
mursal-e-daavar-e-KHaas payambar, sallaaho alaihe-vasallam
nuur-e-mujassam, nayyar-e-aazam, survar-e-aalam, muunis-e-aadam
nuuh ke hamdam, KHizr ke rahbar, sallaaho alaihe-vasallam
faKHr-e-ayaa.n hai.n, arsh-e-makaa.n hai.n, shaah-e-shahaa.n hai.n, saif-e-zabaa.n hai.n
sab pe ayaa.n hai.n aap ke jauhar, sallaaho alaihe-vasallam
bahar-e-saKHaavat, kaan-e-muravvat, aaya-e-rahmat, shaafe.a-e-ummat
maalik-e-jannat, qaasim-e-kausar, sallaaho alaihe-vasallam
qibla-e-aalam, ka.aba-e-aazam, sab se muqaddam raaz ke mahram
jaan-e-mujassam, ruuh-e-musavvir, sallaaho alaihe-vasallam
daulat-e-duniyaa KHaak baraabar, haath ke KHaalii dil ke tava.ngar
maalik-e-kishvar taKHt na afsar, sallaaho alaihe-vasallam
rahbar-e-muusaa, haadii-e-iisaa, taarik-e-duniyaa, malak-e-uqbaa
haath kaa takiya, KHaak kaa bistar, sallaaho alaihe-vasallam
chashma-e-jaarii, KHaassa-e-baarii, gard-savaarii baad-e-bahaarii
aa.iina-daarii, faKHr-e-sikandar, sallaaho alaihe-vasallam
mehr se mamluu, resha resha ne.amat, 'amiir' apnaa hai pesha
dard hamesha rahtaa hai aksar, sallaaho alaihe-vasallam