Recitation: Kerta Nahi Kasur, a ghazal by Mir Taqi Mir
Listen now
Description
A Ghazal by Mir Taqi Mir Recitation by Faraz Ali kartā nahīñ qusūr hamāre halāk meñ yā-rab ye āsmān bhī mil jaa.e ḳhaak meñ garmī nahīñ hai ham se vo ai rashk-e-āftāb ab aa gayā hai farq bahut us tapāk meñ is Dhang se hilā ki bajā dil nahīñ rahe us gosh ke guhar se dam aa.e haiñ naak meñ ab ke junūñ meñ fāsla shāyad na kuchh rahe dāman ke chaak aur garebāñ ke chaak meñ kahiye latāfat us tan-e-nāzuk kī 'mīr' kyā shāyad ye lutf hogā kisū jān-e-pāk meñ ‎کرتا نہیں قصور ہمارے ہلاک میں ‎یا رب یہ آسمان بھی مل جائے خاک میں ‎گرمی نہیں ہے ہم سے وہ اے رشک آفتاب ‎اب آ گیا ہے فرق بہت اس تپاک میں ‎اس ڈھنگ سے ہلا کہ بجا دل نہیں رہے ‎اس گوش کے گہر سے دم آئے ہیں ناک میں ‎اب کے جنوں میں فاصلہ شاید نہ کچھ رہے ‎دامن کے چاک اور گریباں کے چاک میں ‎کہیے لطافت اس تن نازک کی میرؔ کیا ‎شاید یہ لطف ہوگا کسو جان پاک میں
More Episodes
Episode 10. Reflection: Jo Teri Bazm Se Nikla Poet: Mirza Ghalib by Faraz Ali bū-e gul nālah-e dil dūd-e chirāġh-e maḥfil jo tirī bazm se niklā so pareshāñ niklā ‎بوئے گل نالۂ دل دودِ چراغِ محفل ‎جو تری بزم سے نکلا سو پریشاں نکلا A few important points to note in the shi’r to explore at...
Published 05/18/24
Published 05/18/24
Episode 09. Recitation: Ram, a nazm by Muhammad Iqbal Poet: Muhammad Iqbal Recitation by Faraz Ali Labrez hai sharāb-e-haqīqat se jām-e-hind
sab falsafī haiñ ḳhitta-e-maġhrib ke rām-e-hind ye hindiyoñ kī fikr-e-falak-ras kā hai asar
rif’at meñ āsmāñ se bhī ūñchā hai bām-e-hind is des meiñ hue...
Published 04/24/24