Description
Aadaab
Aaj subah phone scroll karte waqt Ehsaan Danish ki ye ek ghazal mili .
Dafatan usko record bhi kar liya ..
Yun hi ek random se recitation ki tarah
Phir khayaal aaya ki bohot waqt hua Spotify par kuchh upload kiye
Aur mujh ko hamesha yahi mehsoos hota raha hai
Ki recitations jo yun hi kiye jaate hain
Woh dar asal sabse behtar hote hain
Khair
Meri balcony mein Lily ka ek paudha hai
Jis par ek naya phool aaya hai
Ilias Babar Aawan ka ek sher yaad aa gaya :
Phool kitaabein le jaa tanha rehne de
Mera kamra , mera kamra rehne de
Bohot ishq
Soz