Tu mujhe itne pyar se mat dekh - Ali Sardar Jafri
Listen now
Description
Tu mujhe itne pyaar se mat dekh .. ye nazm pehli martaba class 11th mein padhi thi .. Ali sardar jafri ki ek kitaab MERA SAFAR mein .. is nazm ke saffe par kaaghaz ki ek nanhi parchi daba kar rakh li thi .. us ek parchi par us ladki ka email ID likha tha jo umra mein mujhse saat baras badi thi ..school ke waqt ka pyaar mera .. main hamesha ye nazm usey padh kar sunana chaahta tha .. par aisa kabhi ho nahin paaya .. is baat ko beete dus - baarah ho gaye hain .. aaj finally ye nazm record kar ke duniya ke hawale kar di hai maine .. shaayad kisi roz pohoch jaaye us tak :)
More Episodes
Amjad saahab ki ye ek badi hi iconic ghazal hai . Woh saare log , jo kisi rishte se baahar toh aa gaye hain .. par mentally ab talak usi rishte ko jiye jaa rahe hain . Bus ki saans liye jaa rahe hain .. aur Gulzar ka ye sher padh rahe hain : Din kuchh aise guzaarta hai koi Jaise ehsaan...
Published 04/29/24
Published 04/29/24
Ahmed Faraz ke liye Gulzar ne ek nazm mein likha tha : Sookh gaye hain phool kitaabo'n mein Yaar 'Faraaz' bhi bhichhad gaye hain Shaayad mile'n woh khwaabo'n mein ! Ye ek nazm Ahmed Faraz ki .. jis mein ladka ek relationship chaahta hai .. par ladki ko relationship bojh lagti hai . Kitni...
Published 03/31/24