Irshad Kamil
Listen now
Description
Irshad Kamil ki ek nanhi nazm jo kuchh waqt pehle Facebook par padhi maine .. behad khoobsurat nazm .. ek likhne waale ke depression ko kitna saaf saaf keh rahi hai .. subah ke 3 baje ye nazm record ki .. is ummeed mein ki ye nazm door bohot door baithe ek shakhs tak pohoche .. aur uske khayaal mein ek naya rang bankar utar jaaye :)
More Episodes
Amjad saahab ki ye ek badi hi iconic ghazal hai . Woh saare log , jo kisi rishte se baahar toh aa gaye hain .. par mentally ab talak usi rishte ko jiye jaa rahe hain . Bus ki saans liye jaa rahe hain .. aur Gulzar ka ye sher padh rahe hain : Din kuchh aise guzaarta hai koi Jaise ehsaan...
Published 04/29/24
Published 04/29/24
Ahmed Faraz ke liye Gulzar ne ek nazm mein likha tha : Sookh gaye hain phool kitaabo'n mein Yaar 'Faraaz' bhi bhichhad gaye hain Shaayad mile'n woh khwaabo'n mein ! Ye ek nazm Ahmed Faraz ki .. jis mein ladka ek relationship chaahta hai .. par ladki ko relationship bojh lagti hai . Kitni...
Published 03/31/24