Episodes
Irshad Kamil ki ek nanhi nazm jo kuchh waqt pehle Facebook par padhi maine .. behad khoobsurat nazm .. ek likhne waale ke depression ko kitna saaf saaf keh rahi hai .. subah ke 3 baje ye nazm record ki .. is ummeed mein ki ye nazm door bohot door baithe ek shakhs tak pohoche .. aur uske khayaal mein ek naya rang bankar utar jaaye :)
Published 09/24/21
A random recitation of Gulzar's poem .. don't wanna write anything else !
Published 09/14/21
Kabul ke guzre waqt .. puraane dino'n ke naam ye ek nazm .. waqt guzar kar shaayad jama hota rehta hai kahi'n .. koi ek surang hai jo kabhi nahi'n bharti .. ye nazm usi ki parchhaai hai .. shaayar hain janaab ABHISHEK .. jo photo istemaal ki hai woh tanyushenka.tumblr.com se li hai .
Published 09/08/21
It's my birthday today 25th Aug .. I'm uploading this nazm of gulzar .. ye ek nazm bohot ummeed hai jisme .. main jab nahin rahunga tab shaayad phir kisi ek din se koi shakhs utthega .. ye lau jo bujh nahin sakti .. jalti rahegi . The picture which I have used was shot on my way from maldah to balurghaat .
Published 08/24/21
Shaharyar ne ye nazm apni biwi najma ke liye likkhi thi .. kitni sundar nazm hai ye .. ek forties ya fifties ki umra ka koi shauhar kitni lazzat se apni family ko dekh raha hai aur ye nazm keh raha hai .. bachpan mein kisi akhbaar se kaat kar ye nazm maine kamre mein chipkaai thi :)
Published 07/03/21
Khushiyon ki manzil dhundi toh gham ki gard mili .. chaahat ke naghme chaahe toh aahein sard mili .. bohot log in ashaaron ke saath connect kar paayenge yakeen hai mujhe .. duniya ke har ek shakhs ki us mohabbat ke naam jo kabhi mukammal nahin hui : )
Published 05/18/21
Dr Bhaskar Mukherjee is a consultant psychiatrist in kolkata .. Sir ko dekh kar aksar khayaal aata hai woh hum sab se aage bohot aage .. waqt ke dusare sirey par khadey .. Apni ungliyon mein ek sulagati cigarette lekar bhool gaye hain .. kisi gehri soch mein doobey .. aankhon mein unki dheerey dheerey neend bhar rahi hai .. I've shared a father and son relationship with him : )
Published 04/30/21
Maine ye ek khat 2019 mein likh kar hawaaon mein uda diya tha .. uske lafz hain jo aaj bhi mere andar goonj rahe hain .. pichhli shab isey padha aur record kiya .. ik roz yun hoga ki likhte likhte tumko thakk jaaunga .. mujhe ab usi ek din ka intezaar hai : ) The cover pic which I've used is of sunset point kasauli .. koi din tha woh bhi !
Published 03/30/21
This poem has solace .. self acceptance .. is poem ko recite karne ka attempt duniya mein kisi ka bhi singular/unique nahin ho sakta .. it will always have an influence of Munir sahab's recitation of this poem .. happy listening :)
Published 03/04/21
Meena Kumari is one person I've always found so fascinating .. har ek lafz unka unki personality ko aur maqbool banaata hai !
Published 02/23/21
Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siwa .. raahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa .. this is undoubtedly the greatest poem of our generation by the most celebrated poet of this age .. Faiz Ahmed Faiz .. the poem holds historical importance in urdu poetry .. Urdu poetry was previously confined to zulf , sharaab , mehboob , gham etc .. this poem is progressive and opened new horizons for Urdu poetry .. I always wanted to recite this one poem of Faiz .. happy listening :)
Published 02/17/21
This poem was written by Nida Fazli on his father's death .. this is an amazing poem showing father-son relationship .. happy listening :)
Published 02/13/21
Hawa Mein Nasha Hi Nasha, Faza Mein Rang Hi Rang Ye Kis Ne Pairahan Apna Uchal Rakha Hai ہوا میں نشہ ہی نشہ فضا میں رنگ ہی رنگ یہ کس نے پیرہن اپنا اچھال رکھا ہے
Published 02/07/21
Hua jab gham se yun behis toh gham kya sarr ke katne ka .. Na hota gar juda tann se toh zaano'n par dhara hota :)
Published 02/05/21
Tumhare rang mujh mein aur gehre hote jaate hain .. main darta hun .. mere ehsaas ke is khwaab ka anjaam kya hoga ?
Published 02/02/21
Ye ek nazm us har ek mohabbat ki daastaa'n ke naam jiske badan par tamaam zakhm ubhar aaye hain .. jo is baras damm todd degi :)
Published 01/31/21
This I recorded in January 2020 in Goa .. samandar hai .. sharaab hai .. waqt hai .. ghalib hai .. ret hai .. shaam hai :)
Published 01/29/21
Priya Kashyap has done her diploma in music . A girl from banaras ( studied at banaras hindu University ) with in-depth knowledge of various musical instruments . This is the only record I had of this girl ( which she had sent me ) . I don't want the world to remain unaware of such a voice . Ki uska lehja aisa ki jaise koi assi ghaat par subah subah beghum akhter ko gunguna raha ho .. background mein Ganga ki banti bigadati lehron ka shor :)
Published 01/17/21
The poet is janaab afzaal Ahmad Sayed .
Published 01/16/21
Kuchh dino'n pehle ye khabar aayi ki Naseer sahab nahi'n rahe .. ye recitation mera Naseer sahab ke liye !
Published 01/12/21
Aaj hi ye kuchh ashaar padhne ko mile .. khoob likha hai .. shaair hain janaab Ikram Basra .. happy listening :) just one correction .. shaair ka naam ikraam basra hai .. ghalat pronunciation ke liye maafi .
Published 01/09/21
Nida Fazli ki ye ek nazm .. duniya ka har woh shakhs jo hijr mein hai usi ke naam :)
Published 12/28/20
Ye nazm main ek hospital ke restroom mein baitha padh raha hoon .. baraabar mein hi ICU hai jahaan par do patients bohot critical hain .. woh shaayad kuchh waqt ba'ad nahi'n honge .. Gulzar ki ye ek kavita aur recitation mera unhi do patients ke naam !
Published 12/10/20
Tumhare gham ki dali utha kar ..
Published 12/04/20
Jaun ki ik ghazal hai .. behadd Khoobsurat ghazal .. kuchh waqt pehle record ki thi .. aaj share karne ka dil kiya .. Mera sabse fav sher hai : Kya bataaun ki mar nahi'n paata Jeete jee jab se mar gaya hu'n mai'n Happy listening :)
Published 12/02/20