Yaad
Listen now
Description
Shaayad kisi ke hijr mein .. yaa kisi ke intezaar mein shaayad .. ek cigarette liye balcony mein baitha hun .. shaam qatra qatra tapak rahi hai .. chaand ki athanni door ufaq par dikhaai pad rahi hai .. Nasir Kazmi ka sher yaad aa raha hai : Humaari ghar ki deewaaron pe naasir .. udaasi baal khole so rahi hai ! Needless to mention .. faiz's poem .
More Episodes
Amjad saahab ki ye ek badi hi iconic ghazal hai . Woh saare log , jo kisi rishte se baahar toh aa gaye hain .. par mentally ab talak usi rishte ko jiye jaa rahe hain . Bus ki saans liye jaa rahe hain .. aur Gulzar ka ye sher padh rahe hain : Din kuchh aise guzaarta hai koi Jaise ehsaan...
Published 04/29/24
Published 04/29/24
Ahmed Faraz ke liye Gulzar ne ek nazm mein likha tha : Sookh gaye hain phool kitaabo'n mein Yaar 'Faraaz' bhi bhichhad gaye hain Shaayad mile'n woh khwaabo'n mein ! Ye ek nazm Ahmed Faraz ki .. jis mein ladka ek relationship chaahta hai .. par ladki ko relationship bojh lagti hai . Kitni...
Published 03/31/24